Thursday, August 2, 2012
Tuesday, May 8, 2012
FLAH aur FAUZ
Flah aur Fauz ki meaning mein ferq haiy .DonoN ka maqsood (objective) aik haiy isiliay meaning mein ishterak zaroor haiy magar yeh aik doosray kay jamaea (complete ) mutaradif (synonym) nahieN . Qura'n ka terjuma aur tafseer bayan kernay waloN ki zimmaydari haiy kay woh in donon alfaz kay mana kay wazeh ferq ko paish e nazar rakh ker terjuma karein . Fauz mein Flah muzmir haiy magar Flah ,Fauz naheiN haiy. Sura NOOR ki a'yet #51 ka akhri lafz haiy "almuflehoon" aur a'yet # 52 ka akhri lafz haiy "alfaezoon" ,mustanad samjhay janay walay terajim mein bhi donoN ka terjuma aik hi likhkha haiy, "kamyab log"(successful).
Aaeay thora ghaur karein. Jab namaz kay liay bulaya jata haiy tau sada di jati haiy "Flah ki teraf aao" .Hazrat ALI a.s. nay ,waqt e wiladat Rasool ALLAH ki gaud mein jo aaya't tilawat ki thieN unki ibteda thi "Qad aflahal mominoon...." aur zarbat lagnay kay baad waqt e aakhir fermaya "Fuzto be rabbil kaba "
Wazeh hogaya kay jo kamyabi (success) kay liay eligible haiy woh shamil haiy "almuflehoon "mein aur jo kamyab hogaya us kay sar per "alfaezoon"ka taj haiy.
Sunday, July 31, 2011
DUA
ALLAH ki azmat o qudrat per etmad rakhtay hua uski bargah mein apni hajat k izhar ka nam DUA hai.
Woh aisa rehman aur raheem aur aisa aadil hai k jaisay WOH chahta hai k Uski bat ko banday ghor say sunein WHO apnay bundon ki bat ko bhi puri twajjo say suntan hai.
USKA QOL WAHI KEHLATA HAI
BANDAY K QOL KA NAM DUA HAI
Dono qol Usko mehboob hain , magar banday ka qol Usay itna pyara hai k DUA KA SUNNA AUR USAY QUBOOL KERNA USNAY APNAY OOPER WAJIB KER LIA HAI.
Banday k sunnay mein khalal (disturbance ,noise) ka imkan hosakta hai magar Qadre Mutlaq ki samaet bay nuqs hai bay aib hai.
Who bay niaz , bandon ki itni perwah kerata hai k Usnay bandon ko talab e qubooliat ka hukm diya hai.
Who meherban, rag e garden say qreeb honay bawajud chahta hai k hamari awaz ,( khafi aur jali ) her andaz mein sunay . Woh namangnay walon say bayzar hai mangnay walay ,her lamhay Us say qareebtar hotay jatay hain.
Banday ka mangna ,ALLAH KI BARGAH mein hazri ka aizaz hai ,bandagi ka amali izhar hai ,apnay sahib e izzat honay ka suboot hai,apnay iftekhar ka elan hai.
Dua Khaliq aur makh;ooq k rishtay ko istawar (in continuation) rakhti hai aur itna mazboot banadeti hai k ALLAH banday ko apna KHALEEL bana layta hai bulkay is say bhi barh ker apna HABEEB bana layta hai.
Jannat mein koi bhi apnay amal ki bunyad per nahi dakhil hoga, uska dakhla mehez ALLAH k lutf aur fazal ki asas (base) per hoga aur ALLAH k lutf o fazal ko hasil krnay ka wahid zarea’ (means) DUA hai. Shqawat (Allah ki rehmat say doori) ko Sa’dat mein badalnay ka aik hi tareeqa hai….DUA.
Her amal say pehlay uska ILM hasil kerna chahiyay ILM k sath qaleel (less) amal bhi nafa (benefit) dayta hai aur jehel kaseer amal ko bay faeda bana dayta hai.
Dua ki marfat hasil kero ,Dua k a’dab seekho phir Uski Bargah mein a’jzi (humbleness) k sath hathon ko buland kero Dil ko past kero aur mango, ilteja (request) kero zid na kero,apni khwahish ka izhar kero magar USKI khwahish ka ehtram kero aur mannay k liyay amada raho
YAQEEN RAKHO WOH TUMHARI KHWAHISH KO APNA HUKM BANA KER TUMHARI HER TAMANNA KO PURA KERDAY GA QUNKAY WOH REHMAN AUR RAHEEM APNAY WADAY K KHILAF NAHI KERTA.!!!!
Wa ma taufiqi illahbillah.
Tuesday, June 28, 2011
TAQWA
Mohabbat aur chahat ki bunyad per khalq honay wali makhlooq say khaliq ko kitni mohabbat hai yeh sirf khalq kernay wala janta hai .Makhlooq tau sirf utna hi jan sakti hai jitna khaliq usay bataday. Insan ko khalq kernay k ba’d Usnay naz kertay huay elan kia k Hamesha qaem aur daem rehnay walay ALLAH nay INSAN ko behtareen taqweem (best possible form) per khalq kiya hai.
Jis ka ILM lamehdood ho, Jo Ainayilm ho jab Woh ahsan (the best) kahay tau mehdood aql kahan tak perwaz keray kahan tak apni bulandi ka ehsas keray..Qeemat aur qader ka ta’ayyun (fixation) kesay ho? Anmol (price less ) yeh alfaz sidq e dil say apni bay bazaeti (limitation)per nadim hain .
Qeemat k tanasub say shay ki hifazat ka khayal hota hai,magar yeh tau bayjan cheezon ka zikr hai. Aulad cheez nahi hai yeh ALLAH ki nayabat mein ,waldein ki haseen takhleeq hai ,isiliay uski sirf hifazat nahi ki jati us say mohabbat hoti hai .Kia koi is mohabbat ki qeemat ka ta’ayyun kersakta hai? Kia dil kabhi aulad say ghafil hota hai .. Aulad na.’ferman ho tau dil phir bhi uski islah k liay tarapta rehta hai. Jab tumehain itni mohabbat hai tau soncho ALLAH ko tumsay kitni mohabbat hai .
Kia is mohabbat ki jan say barh ker qadr aur hifazat nahi kerni chahiay .Kia dil mein yeh khauf aur dar nahi hona chahiay k hamara koi amal ,US REHMAN AUR RAHEEM ki nazar-e lutf o inayet say humein mehroom na kerday , yeh mehroomi dozakh ki a’ag say ziyada takleef denay wala azab hai. Is mohazzab (character building) dar aur khauf ko dil mein basalenay ka nam TAQWA hai.
Kon hai jo ALLAH ki manzilat jannay k ba’d bhi USKA khauf na rakhkhay.
Kon hai jo janta hai k ALLAH kia hai, phir bhi usper USKI haibat tari nahi hoti.
Kul izzat k malik ALLAH ki nazar mein agar koi sahib e izzat hai tau sirf muttaqi ,qunkay who adl k qareeb hota hai.
Qura’n muttaqi ko hidayet deta hai.
ALLAH sirf muttaqi say amal ko qubool kerta hai aur ussay mohabbat kerta hai.
WAMA TAUFIQI ILLA BILLAH.
Thursday, June 9, 2011
TAWHEED
Ilm o marfat k husool mein hawas e khamsa(5 senses) mufeed or kara'mad honay k bawajood Ain e Ilm ,ALLAH, ki marfat mein baybus o lachar isliay hain k har hiss (sense) ki had (limit) hai aur ALLAH hadon ka khaliq hai , khud unsay mawara(above) hai. Har koshish karnay wala puri tawanai (energy) serf karnay k ba'd apni a'jezi ka elan kertay huay kehta hai "Teray ALLAH honay ki daleel hi yay hai k TU hawas ki ponhonch say bohot buland hai." Baseerat hi Tujh say qareeb kerti hai ,basarat her had per thokar khati hai.
TUJHAY aik nahi kaha jasakta ,k aik taqseem hojata hai,aur jo taqseem hoja'ay woh ALLAH NAHI HAI.
TU nay khud bataya hai k tu AHAD hai wahid nahi hai. YAKTA hai UNIQUE hai.
Hum nay teray liay sar bhi tasleem (surrender) kia hai aur Dil bhi,takay jab hum zaban say iqrar karein tau TU hamaray senon k ander jhank ker hamaray EEMA'N ka gawah ban ja'ay , aur phir TU jab hamsay ye kehkar mukhatib ho "ay woh logon jo eema'n la ay ho" tau ham is kalam ki shereni ko mehsoos kersakein aur teray is lutf o ehsan per ,apni her khwahish ko mita dein qurban ker dein , aur TERI khwahish ko qubool kerlein,takay hamari ebadat SHIRK say pak hoja'ay.
TU WAHDAHU LASHAREEK HAI.
WA ma taufiqi ILLA BIL LAH
TUJHAY aik nahi kaha jasakta ,k aik taqseem hojata hai,aur jo taqseem hoja'ay woh ALLAH NAHI HAI.
TU nay khud bataya hai k tu AHAD hai wahid nahi hai. YAKTA hai UNIQUE hai.
Hum nay teray liay sar bhi tasleem (surrender) kia hai aur Dil bhi,takay jab hum zaban say iqrar karein tau TU hamaray senon k ander jhank ker hamaray EEMA'N ka gawah ban ja'ay , aur phir TU jab hamsay ye kehkar mukhatib ho "ay woh logon jo eema'n la ay ho" tau ham is kalam ki shereni ko mehsoos kersakein aur teray is lutf o ehsan per ,apni her khwahish ko mita dein qurban ker dein , aur TERI khwahish ko qubool kerlein,takay hamari ebadat SHIRK say pak hoja'ay.
TU WAHDAHU LASHAREEK HAI.
WA ma taufiqi ILLA BIL LAH
Wednesday, June 1, 2011
Feedback
Dear ALL,
Thanks for encouraging ,energizing words which are helping me preparing for understanding TAWHEED and then TAQWA.
Wasslam
Thanks for encouraging ,energizing words which are helping me preparing for understanding TAWHEED and then TAQWA.
Wasslam
Wednesday, May 25, 2011
ISLAM EEMAN AQEEDA
ISLAM EEMAN AQEEDA
ALLAH jis nay humein apni sifat ‘HAIEE’ say hayat ata ki aur moqa diya k hum bhi Uski tarah baqi reh sakein , hamaray liay zindagi guzarnay ka aik tareeqa (DEEN )pasand kia aur uska nam ISLAM rakhkha aur hamara nam ‘muslimeen’ rakhkha.
Humari roohon say apni rububiat ka iqrar liya aur dunya mein fitrat-e Islam per dakhil kia. Is wa’aday k sath k ‘hidayat’ dena meri zimmaydari hai .MEIN ‘kitabain ‘ bhi bhaijunga aur ‘anmbia’ bhi bhaijjunga, jinki sachchaie ko pehchan nay k liay tumhein aql ata ki hai,aur phir qayamat mein mulaqat hogi takay jaza aur saza ka amal ho. In baton k zabani iqrar ka nam Islam hai.Jis nay haqeeqat ko tasleem kar liya woh muslim aur jisnay chupa liya woh kafir hai. Dil say inkar aur zaban say iqrar kernay wala munafiq hai aur sabsay ziada ALLAH ki rehmat say door hai.
Jab bat zabani iqrar say barhkar dil mein dakhil hojati hai tau WOH jo dilon k hal say waqif hai is kaifiat ko EEMAN kehta hai .Dil say bat qubool kernay k liay koshish kerni parti hai,or yeh koshish ALLAH ko itni mehboob hai k jab bhi humsay mukhatib hota hai tau ‘ay muslimeen’ nahi kehta bulkay kehta hai”ay woh logon jo EEMAN la ay ho “.
Dil ka kisi bat ko qubool kerna asan nahi hai,aql her marhalay per sawal karti hai aur jbtak tasallibakhsh jawab na milay dil qubool nahi kerta.Aql k madarej hain,her aql aik derjay per nahi hai( isliay aql ko bhi hadi ki zarurat hai) ,dil aql ka jo jawab qubool kerlay woh AQEEDA banjata hai, isiliay aqeeday ki tehqeeq zaruri hai. ALLAH ko ahad mannay walon k aqaed ALLAH k baray mein isiliay mukhtalif hain qunkay unhonnay apni aql k mutabiq ALLAH ko pehchan nay ki koshish ki hai.Agar sab RASOOL ALLAH k bad MASOOM HADI per EEMAN latay tau sab ka aqeeda aik hota. NABI AUR KITAB ANAY KA SILSILA KHATAM HOGAYA.HIDAYAT KA SILSILA JARI HAI. QURA’N aaj bhi sada day raha hai “ay who logon jo eeman la ay ho, eeman lao ”
EEMAN k darjay hain .Dil may yaqeen jitna barhta jata hai aqeeda utna pukhta hota jata hai aur eeman usi relation may barhta jata hai.Kamzor aqeeday walay yaqeen say mehroom hotay hain isiliay unka eeman barhta ghat ta rehta hai.
ALLAH ka aik banda esa bhi hai,jisnay kaha “agar hijabat hata diay jaein tab bhi meray yaqeen mein zar ra baraber izafa nahi hoga “ isiliay woh RSOOL ALLAH k alfaz mein KUL LE EEMAN kehlata hai.
WAMA TAUFIQI ILLABILLAH
Subscribe to:
Posts (Atom)


