ISLAM EEMAN AQEEDA
ALLAH jis nay humein apni sifat ‘HAIEE’ say hayat ata ki aur moqa diya k hum bhi Uski tarah baqi reh sakein , hamaray liay zindagi guzarnay ka aik tareeqa (DEEN )pasand kia aur uska nam ISLAM rakhkha aur hamara nam ‘muslimeen’ rakhkha.
Humari roohon say apni rububiat ka iqrar liya aur dunya mein fitrat-e Islam per dakhil kia. Is wa’aday k sath k ‘hidayat’ dena meri zimmaydari hai .MEIN ‘kitabain ‘ bhi bhaijunga aur ‘anmbia’ bhi bhaijjunga, jinki sachchaie ko pehchan nay k liay tumhein aql ata ki hai,aur phir qayamat mein mulaqat hogi takay jaza aur saza ka amal ho. In baton k zabani iqrar ka nam Islam hai.Jis nay haqeeqat ko tasleem kar liya woh muslim aur jisnay chupa liya woh kafir hai. Dil say inkar aur zaban say iqrar kernay wala munafiq hai aur sabsay ziada ALLAH ki rehmat say door hai.
Jab bat zabani iqrar say barhkar dil mein dakhil hojati hai tau WOH jo dilon k hal say waqif hai is kaifiat ko EEMAN kehta hai .Dil say bat qubool kernay k liay koshish kerni parti hai,or yeh koshish ALLAH ko itni mehboob hai k jab bhi humsay mukhatib hota hai tau ‘ay muslimeen’ nahi kehta bulkay kehta hai”ay woh logon jo EEMAN la ay ho “.
Dil ka kisi bat ko qubool kerna asan nahi hai,aql her marhalay per sawal karti hai aur jbtak tasallibakhsh jawab na milay dil qubool nahi kerta.Aql k madarej hain,her aql aik derjay per nahi hai( isliay aql ko bhi hadi ki zarurat hai) ,dil aql ka jo jawab qubool kerlay woh AQEEDA banjata hai, isiliay aqeeday ki tehqeeq zaruri hai. ALLAH ko ahad mannay walon k aqaed ALLAH k baray mein isiliay mukhtalif hain qunkay unhonnay apni aql k mutabiq ALLAH ko pehchan nay ki koshish ki hai.Agar sab RASOOL ALLAH k bad MASOOM HADI per EEMAN latay tau sab ka aqeeda aik hota. NABI AUR KITAB ANAY KA SILSILA KHATAM HOGAYA.HIDAYAT KA SILSILA JARI HAI. QURA’N aaj bhi sada day raha hai “ay who logon jo eeman la ay ho, eeman lao ”
EEMAN k darjay hain .Dil may yaqeen jitna barhta jata hai aqeeda utna pukhta hota jata hai aur eeman usi relation may barhta jata hai.Kamzor aqeeday walay yaqeen say mehroom hotay hain isiliay unka eeman barhta ghat ta rehta hai.
ALLAH ka aik banda esa bhi hai,jisnay kaha “agar hijabat hata diay jaein tab bhi meray yaqeen mein zar ra baraber izafa nahi hoga “ isiliay woh RSOOL ALLAH k alfaz mein KUL LE EEMAN kehlata hai.
WAMA TAUFIQI ILLABILLAH
Salam,MashAllah,behtareen farmaya,aik Hadees e Rasool e pak share kerna chahti hon,"Ager log Esha aur Fajer ki namaz ki fazeelat jaan len tou unhen ghutno k bal bhi ana parry tou wo zaroor in namazon main aayen.(SahiBukhari,Kitabul Azan,H#615)
ReplyDeletesallalaho wa alaihay wasalam*
ReplyDeleteThanks for a detailed answer. Hamesha ki tarhan aap sawal ka jawab itna mukammal daitay hain k kuch hissa sawal say pehlay aur kuch hissa sawal k baad ka bhi bayan kardaitay hain jis say baat poori tarhan wazeh hojati hai.
ReplyDeleteQ: lafz " tauheed" ki marfat chahti hoon RasoolAllah s.a k nazaraye say?
masha allah! qibla bilgirami ap nay buhat khoob bayan fermaya...may god bless you with more ilm and health
ReplyDeleteSalam,guzarish he jab hum bat kertay hen Eman aur Aqeeda ki to kuch pehloo kuch baten aur bhi hamarey zehno me ati hen misal k toar pe hamara Aqeeda he k hum Nad e Ali a.s parehen ge to humari mushkilat asan hojaen gi,jo hamari wazief ul abrar me bhi mojood he,sawal ye he k kia Nad e Ali jis k barey me hamara ye Aqeeda he wo kahan tak durust he aur is ka tarikhi pehlo kia he? is sawal per me chahongi k molana Bilgrami sahab tafseer k hawaley se aur Hashim sahab tarikh k hawaley se is pe roshni dalen,ain nawazish hogi,
ReplyDeleteWaza e ful abrar na aqeeday ki kitab hai na usool ki ,yeh mutaferriq cheezon ka aik collection hai.Nad e Ali ka zikr kisi sanad k sath nazar say nahi guzra.
ReplyDelete