FLAH aur FAUZ
Flah aur Fauz ki meaning mein ferq haiy .DonoN ka maqsood (objective) aik haiy isiliay meaning mein ishterak zaroor haiy magar yeh aik doosray kay jamaea (complete ) mutaradif (synonym) nahieN . Qura'n ka terjuma aur tafseer bayan kernay waloN ki zimmaydari haiy kay woh in donon alfaz kay mana kay wazeh ferq ko paish e nazar rakh ker terjuma karein . Fauz mein Flah muzmir haiy magar Flah ,Fauz naheiN haiy. Sura NOOR ki a'yet #51 ka akhri lafz haiy "almuflehoon" aur a'yet # 52 ka akhri lafz haiy "alfaezoon" ,mustanad samjhay janay walay terajim mein bhi donoN ka terjuma aik hi likhkha haiy, "kamyab log"(successful).
Aaeay thora ghaur karein. Jab namaz kay liay bulaya jata haiy tau sada di jati haiy "Flah ki teraf aao" .Hazrat ALI a.s. nay ,waqt e wiladat Rasool ALLAH ki gaud mein jo aaya't tilawat ki thieN unki ibteda thi "Qad aflahal mominoon...." aur zarbat lagnay kay baad waqt e aakhir fermaya "Fuzto be rabbil kaba "
Wazeh hogaya kay jo kamyabi (success) kay liay eligible haiy woh shamil haiy "almuflehoon "mein aur jo kamyab hogaya us kay sar per "alfaezoon"ka taj haiy.
SubhanAllah.Mairay ilm main jahan jahan falah aur faiz k alfaaz thay aap k batai hwee meaning say jab un par dobara ghor kia to waqai u r right. sab jagah dono ko " kamiyaabi " hi likha tha. Beshak namaz ki taraf bulanay wali aazaan hum ko struggle for success k liyay invite karti hai, aur phir jab hum main say koi yahi namaz parh k nahin "qaim" kar k "aarif" ban jaata hai to woh "faaiz" hojata hai. SubhaAllah. Aur hadees-e-kisa main kamiyaabi"faaiz" honay ki degree lainay walay nay dua mangnay k andaaz main nahin balkay yaqeen dilnanay k andaaz main kaha hai k "fuzna wa faza sheeatuna wa rabbil kaaba".
ReplyDeleteAllah hamain sheea bannay ki taufeeq ata farmaye. aameen.
Q: surah Rehmaan main aaya "khalaqal insaana min salsalin kalfakhkhaar" aayat 14. Jis ki meaning likhi hai " issi nay insaan ko theekhri ki tarhaan khankhanati hwee matti say paida kia hai" jabkay surah Mominoon main aaya "walaqad khalaqnal insaana min sulaalatim min teen" aayat 12. Jis ki meaning likhi hai "aur hum nay insaan ko geeli matti say paida kia hai"?
ReplyDeleteplease clear me the confusion.
Geeli aur suukhi matti k insaan par kia asraat hotay hain, kia uss ka behaivior change hota hai ya kuch aur .......
mukhtalif stages hain ,behavior say koi relation nahi.
ReplyDelete