Sunday, July 31, 2011

DUA



ALLAH ki azmat o qudrat per etmad rakhtay hua uski bargah mein apni hajat k izhar ka nam DUA hai.
Woh aisa rehman aur raheem aur aisa aadil hai k jaisay WOH chahta hai k Uski bat ko banday ghor say sunein WHO apnay bundon ki bat ko bhi puri twajjo say suntan hai.
USKA  QOL  WAHI KEHLATA HAI
BANDAY K QOL KA NAM DUA HAI
Dono qol Usko mehboob hain , magar banday ka qol Usay itna pyara hai k  DUA KA SUNNA AUR USAY QUBOOL KERNA USNAY APNAY OOPER WAJIB KER  LIA HAI.
Banday k sunnay mein khalal (disturbance ,noise) ka imkan  hosakta hai magar Qadre Mutlaq ki samaet bay nuqs hai bay aib hai.
Who bay niaz , bandon ki itni perwah kerata hai k Usnay bandon ko talab e qubooliat ka hukm diya hai.
Who meherban, rag e garden say qreeb honay bawajud chahta hai k hamari awaz ,( khafi aur jali ) her andaz mein sunay . Woh namangnay walon say bayzar hai mangnay walay ,her lamhay Us say qareebtar hotay jatay hain.
Banday ka mangna ,ALLAH KI BARGAH mein hazri ka aizaz hai ,bandagi ka amali izhar hai  ,apnay sahib e izzat honay ka suboot hai,apnay iftekhar ka elan hai.
Dua  Khaliq aur makh;ooq k rishtay ko istawar (in continuation) rakhti hai aur itna mazboot banadeti hai k ALLAH banday ko apna KHALEEL bana layta hai bulkay is say bhi barh ker apna HABEEB bana layta hai.
Jannat mein koi bhi apnay amal ki bunyad per nahi dakhil hoga, uska dakhla mehez ALLAH k lutf aur fazal ki asas (base) per hoga aur ALLAH k lutf o fazal ko hasil krnay ka wahid zarea’ (means) DUA hai. Shqawat (Allah ki rehmat say doori) ko Sa’dat mein badalnay ka aik hi tareeqa hai….DUA.
Her amal say pehlay uska ILM hasil kerna chahiyay ILM k sath qaleel (less) amal bhi nafa (benefit) dayta hai aur jehel kaseer amal ko bay faeda bana dayta hai.
 Dua ki marfat hasil kero ,Dua k a’dab seekho phir Uski Bargah mein a’jzi (humbleness) k sath hathon ko buland kero Dil ko past kero aur mango, ilteja (request) kero zid na kero,apni khwahish ka izhar kero magar USKI  khwahish ka ehtram kero aur mannay k liyay amada raho
YAQEEN RAKHO WOH TUMHARI KHWAHISH KO APNA HUKM BANA KER TUMHARI HER TAMANNA KO PURA KERDAY GA  QUNKAY WOH REHMAN AUR RAHEEM APNAY WADAY K KHILAF NAHI KERTA.!!!!
Wa ma taufiqi illahbillah.