Lafz bayjan nahi hota ,serf karnay walay k zehen ka terjuman hota hai, jitna tawana zehen utna hi hayat say bherpur lafz. Pehlay lafz ko koi wajood bakhshta hai phir lafz uski hayat ka zamin banjata hai.Kitni shakhseatein khak hogaein magar ham aaj bhi unkay alfaz ko duhrakar unki hayat ki gawahi detay hain or apni hayat ko taqatwer banatay hain. Jab fani wajood kay lafz mein yeh asar hai, tau HAYAT ko hayat bakhshnay walay HAYEE E LAYAMOOT ka aik aik lafz kitna purasar hoga.USKAY ALFAZ K MAJMOOAY KA NAM QURAAN hai.Yeh alfaz ALLAH k terjuman hain,Allah ka zehen /MASHEEAT ko samajhna or phir us ILM per AMAL mushkil hai .Smjho aur samjhao.