Mohabbat aur chahat ki bunyad per khalq honay wali makhlooq say khaliq ko kitni mohabbat hai yeh sirf khalq kernay wala janta hai .Makhlooq tau sirf utna hi jan sakti hai jitna khaliq usay bataday. Insan ko khalq kernay k ba’d Usnay naz kertay huay elan kia k Hamesha qaem aur daem rehnay walay ALLAH nay INSAN ko behtareen taqweem (best possible form) per khalq kiya hai.
Jis ka ILM lamehdood ho, Jo Ainayilm ho jab Woh ahsan (the best) kahay tau mehdood aql kahan tak perwaz keray kahan tak apni bulandi ka ehsas keray..Qeemat aur qader ka ta’ayyun (fixation) kesay ho? Anmol (price less ) yeh alfaz sidq e dil say apni bay bazaeti (limitation)per nadim hain .
Qeemat k tanasub say shay ki hifazat ka khayal hota hai,magar yeh tau bayjan cheezon ka zikr hai. Aulad cheez nahi hai yeh ALLAH ki nayabat mein ,waldein ki haseen takhleeq hai ,isiliay uski sirf hifazat nahi ki jati us say mohabbat hoti hai .Kia koi is mohabbat ki qeemat ka ta’ayyun kersakta hai? Kia dil kabhi aulad say ghafil hota hai .. Aulad na.’ferman ho tau dil phir bhi uski islah k liay tarapta rehta hai. Jab tumehain itni mohabbat hai tau soncho ALLAH ko tumsay kitni mohabbat hai .
Kia is mohabbat ki jan say barh ker qadr aur hifazat nahi kerni chahiay .Kia dil mein yeh khauf aur dar nahi hona chahiay k hamara koi amal ,US REHMAN AUR RAHEEM ki nazar-e lutf o inayet say humein mehroom na kerday , yeh mehroomi dozakh ki a’ag say ziyada takleef denay wala azab hai. Is mohazzab (character building) dar aur khauf ko dil mein basalenay ka nam TAQWA hai.
Kon hai jo ALLAH ki manzilat jannay k ba’d bhi USKA khauf na rakhkhay.
Kon hai jo janta hai k ALLAH kia hai, phir bhi usper USKI haibat tari nahi hoti.
Kul izzat k malik ALLAH ki nazar mein agar koi sahib e izzat hai tau sirf muttaqi ,qunkay who adl k qareeb hota hai.
Qura’n muttaqi ko hidayet deta hai.
ALLAH sirf muttaqi say amal ko qubool kerta hai aur ussay mohabbat kerta hai.
WAMA TAUFIQI ILLA BILLAH.
"Kul izzat k malik ALLAH ki nazar mein agar koi sahib e izzat hai tau sirf muttaqi ,qunkay who adl k qareeb hota hai."
ReplyDeleteJazakAllajh , bohot acha likha. Agar iss jumlay ko hum baar baar pahain aur samjhain tou hamaray andar waqai khauf-e-khuda hojayega .Inshallah.
Q : Jahan kam ilmi ki bina par har ek apnay aap ko sahi kahay wahan ASAL ADAL kaisay pata chalay ?
Adl ka jehl say koi relation nahi hai.Qura'n sawal kerta hai "kia jannay wala aur na jannay wala baraber hain ?
ReplyDeleteBagher ILM aur DALEEL k apnay a'ap ko sahi samajhna nadani aur hatdhermi hai.
Q: MUTTAQI khud aik bohot bara rutba hai jo bin ahidayat e parwardigaar nahin mil sakta aur quraan parhay baghair hidayat ka tasawwur nahin.
ReplyDeletePhir ye kaun se hidayat baqi reh gaee, jo khudawande kareem apnay kalaam main keh raha hai, HUDALLIL MUTTAQIN?
mairay mutabiq character ka impact written say ziaada hota hai.Shayad jabhi Allah keh raha hai ke quran e natiq ko dekh kar muttaqi bano aur phir quran e samit parho. Ab jo muttaqi(14 masomeen k kirdaron ko absorb kar k amal karnay wala) quran parhay ga to uss k yaqeen main khuda izaafa karay ga aur uss k eemaan ko khuda kabhi bhi dagmaganay nahin day ga apni HIDAYAT say.
ReplyDeleteHUDALIL MAUTTAQIN.
Jeeti raho , jazak ALLAH .
ReplyDeleteALLAH mutaqqi ko hidayat deta haiy k woh kaisay ALLAH k akhlaq ko apna ker OUS say qareeb hosakta haiy.Shareeat mein her amal "qurbatan ilalALLAH" ki niyat say kia jata haiy. khuloos say ki janay wali ibadat muttaqi ko itna buland kerdayti haiy k uskay aaza(parts of body )uskay nahi rehtay , ALLAH k hojatay hain aur AINULLAH , YADULLAH kehlatay hain .
Uskay amal ko ALLAH apna amal kehta haiy .
Qurbat ki mairaj yeh hai k MEHMOOD yaumay jaza ko apnay qreeb tareen abd ko apnay MAQA'M per fa'ez ker day ga .