Monday, April 25, 2011

RIZQ AUR INFAQ

Jis nay khalq kia hai wohi janta hai k makhlooq ki ehtiaj kia hai.Sab mohtaj hain ,sirf WOH  munazza anil ehtiaj hai,GHANI hai ,SAMAD hai.Her wajood "mumkin"hai,Uska wajood "wajib"hai.Kul makhlooq apnay wajood k honay mein aur usay barqrar rakhnay mein Uski mohtaj hai.ALEEM o KHABEER hi janta hai k  jis maqsad k liay khalq kia hai uski zaruriaat kia hain,isliay kaenat mein basnay wali her makhlooq ka RIZQ Usnay apnay zimmay laylia hai.Denay ki zimmaydari Uski hai,bantnay ki zimmaydari Woh jisay chahay dayday.
Her makhlooq ka rizq aik jaisa nahi hai.Sab ko apni zaroorat k mutabiq rizq diya jata hai.Aik mohtaj jo khud apni ehtiaj ko nahi janta woh doosray ki ehtiaj ko kaisay samajh sakta hai,kia farishta ashraf ul makhlooqat  Insan ki hajatrawai karsakta hai ?Isiliay tau RAZZAQ sirf ALLAH hai.
Insan "jism" aur "rooh" ka majmua hai.Jism ki namu(growth) k liay bhi rizq chahiay aur rooh k liay bhi.
Sirf "maal"ko rizq samajhna kamfehmi hai. Agar yehi matlab hai tau phir Shaheed apnay RAB say kia rizq pata hai? Ham maysay aksar zinda hotay huay bhi nigah e Quran mein murda hain ,jabkay shaheed ki hayat ka gawah ALLAH hai aur daleel "rizq" hai.
ILM sabsay ziada  nafa bakhsh rizq hai.ALLAH k Rasool ki duaa  aaj bhi yehi hai"rabbay zidni ilma"O'Lord grow me in ilm.
ALLAH jab hukm deta hai  k " hum nay tumhain jo kuch bhi  rizq diya hai usay kharch(infaq) karo" tau  Woh sirf maal kharch(INFAQ) karnay k a hukm nahi dayraha hai,Woh AINAY ILM   saheb e ilm ko  hukm day raha hai k ILM bhi banto.
Ilm ka hasil karna isiliay "farz" hai.Agar jholi khali hogi tau kia banto gay.Yeh tau samajh tay hi ho k denay wala hath lenay walay hath say behter hota hai .Denay wala hath ALLAH ka hath hai.

Wednesday, April 6, 2011

ITAET aur IBADAT mein farq hai.

  FROO E DEEN  [Namaz , Roza,Haj,Zakat,etc.]  ko  qunkay Shreeat ki istalah (terminology) mein IBADAT
 kay Unwan kay zail mein bayan kiya jata hai isliay zehnon mein ibadat ka yehi mafhoom aur matlab itna  rach bas gaya hai k is intehaie aham aur jamay lafz k haqeeqi  mana tak pohonchnay ki koshish hi nahi ki gaee aur na yeh jannay ki justuju hui k itaet aur ibadat mein kia farq hai.Yad rakhkho baghair marfat koi amal ALLAH ki bargah mein qubool nahi kiya jaeyga.
Quran bar bar ghoro fikr ki dawat deta hai lekin ham twajjah hi nahi kartay ,kiya yeh ALLAH k hukum ki nafarmani nahi.ALLAH nay jab ibadat  k liay khalq ki janay wali makhlooq ka zikr kia tau sirf insan aur jin ka nam lia halankay farishtay  qyam kartay hain,ruku kartay hain,sajda kartay hain  Bait ul mamoor ka tawaf kartay hain aur tasbeeh o taqdees bhi kartay hain, agar inmay say koi amal bhi ALLAH ki nigah mein ibadat hota tau ALLAH jin aur insan k sath farishton ka zikr zroor karta.Zikr isliay nahi kia k farishtay itaet kartay hain
ibadat nahi.
Insan aur jin itaet bhi kartay hain aur ibadat bhi.Ibadat  k liay khwahish aur irada  bhi chahiay ,farishtay k pas Aql tau hai khwahish nahi hai,insan aur jin k pas dono hain, isliay unhain ibadat k liay khalq kia gaya hai.Insan ko jin par yeh fazeelat hasil hai k uski khilqat khud ALLAH ki nigah mein sabsay behtreen hai (ahsan ul taqweem ) is bina par INSAN ashraf ul makhluqat kehlata hai .
ALLAH k hukm ko manna itaet hai aur apnay iraday   aur khwahish say ALLAH ki merzi ko samajh kar amal karna ibadat hai.
Hazrat Ibrahim A.s.agar khwab dekh kar Hzrat Ismail A.s. ko zabah kardetay tau yeh amal itaet hota lekin betay say yeh poochna k tumhara kia khayal hai daleel hai k mein tau amal khoob sonch samajh kar kar raha hoon , tum bhi achchi tarah ghor karlo takay apnay iraday or khwahish k tehet zabah hona  sabit hojaey aur ham dono itaet say bulund hokar ibadat k darjay mein dakhil hojaen.
Bhookay ko khana khilana ALLAH ki zimmedari hai lekin agar uskay iraday or khwahish ko samajh kar tum bhookay ka pait bhardo! ,namaz parhi tau apna kam kiya ,apnay aap ko saza say bachaya lekin khana khilaya tau ALLAH ka kam kia,khud soncho konsa amal buland hai.IBADAT ki kitni oppurtunities hamaray gird bikhri hui hain inhain samait lo .

Sunday, April 3, 2011

SHAFAET MOMIN ki HELP LINE

Shafaet ka wada bay amali ko jurat aur sirf zabani iqrar ko  sahara denay k liay nahi hai bulkay amal karnay walon ka walwala or hosla barhnay kay liay aik tuhfa e ALLAH o RASOOL hai. . Shafaet ,Ilahi nizam e Adal ko barham karnay ka nam nahi.Apnay aap ko Ilm o amal mein musalsal agay barhatay rehnay ki koshish na  karna  Jehl par israr hai. Jahil bay bunyad ummeed par waqt ko zaya karta hai,khwahish ko deen samajhta hai ,rsamein eejad karkay un amaal ko taqarrub ka zarea samajhta hai jinka zikr Quraan ,shreeat aur Ahle bait ki taleemat mein nahi milta.Masoom fermatay hain ,roz e Qayamat mein pechanloonga momin ko aza e wazu say,aaj ka momin kehta hai ,hamari pehchan senay ka daag hai ,peeth ka zakhm hai, juloos hai.
Dunya  UMMEED per qaim hai lekin AAkhrat  AMAL per.
Momin ko bhi ummeed hai,Ilahi waday ki bunyad per, k koshish karkay ITTEBA mein jo amal kia hai,usmein jo kami  rehgai hai usay Rasool o Ahle bait  ki  SHAFAET pura kardegi. ALLAH hamaray amal ko qubool karlega quoonkay RASOOL  ALLAH AUR AHLEBAIT hamaray amal ko apnay amal mein  milakar ALLAH kay huzoor mein pesh karengay aur qubooliat yaqeeni hai.
Shafa Shafaet ka root word hai jiska matlab hai "zam ush shay ila misleh" yani" to join a thing to its like".
Amal say jholi ko bharlo agar jholi khali rehgai to Shafaet karnay walay kis cheez ko apnay amal say milakar ALLAH  k huzoor pesh karengay.