Ilm o marfat k husool mein hawas e khamsa(5 senses) mufeed or kara'mad honay k bawajood Ain e Ilm ,ALLAH, ki marfat mein baybus o lachar isliay hain k har hiss (sense) ki had (limit) hai aur ALLAH hadon ka khaliq hai , khud unsay mawara(above) hai. Har koshish karnay wala puri tawanai (energy) serf karnay k ba'd apni a'jezi ka elan kertay huay kehta hai "Teray ALLAH honay ki daleel hi yay hai k TU hawas ki ponhonch say bohot buland hai." Baseerat hi Tujh say qareeb kerti hai ,basarat her had per thokar khati hai.
TUJHAY aik nahi kaha jasakta ,k aik taqseem hojata hai,aur jo taqseem hoja'ay woh ALLAH NAHI HAI.
TU nay khud bataya hai k tu AHAD hai wahid nahi hai. YAKTA hai UNIQUE hai.
Hum nay teray liay sar bhi tasleem (surrender) kia hai aur Dil bhi,takay jab hum zaban say iqrar karein tau TU hamaray senon k ander jhank ker hamaray EEMA'N ka gawah ban ja'ay , aur phir TU jab hamsay ye kehkar mukhatib ho "ay woh logon jo eema'n la ay ho" tau ham is kalam ki shereni ko mehsoos kersakein aur teray is lutf o ehsan per ,apni her khwahish ko mita dein qurban ker dein , aur TERI khwahish ko qubool kerlein,takay hamari ebadat SHIRK say pak hoja'ay.
TU WAHDAHU LASHAREEK HAI.
WA ma taufiqi ILLA BIL LAH

subhanallah.
ReplyDeleteQ : Shirk k zamray main kia kia aata hai?
Q : Jab Allah tamaam cheezon say bay niaaz hai tou us ko ye khwahish kiyon hwe k main pehchana jaon , aur phir hamain khalq karna , jaza aur saza ki kia wajah hai ?
Q : Insaan Allah ki behtareen khilqat hai, tou iss behtareen khilqat main shetaan ka amal dakhal kaisay hojata hai ?
Jazak ALLAH
ReplyDeleteHar fikr aur amal jiski bunyad mein ALLAH na ho shirk hai.ALLAH k sath kisi taur per bhi kisi ko shareek kerna shirk hai.
Chahat zarurat ya hajat nahi hoti .Lutf aur inayet ka aik andaz e kareemana hai.Makhlooq ki chahat mein gharaz ka imkan hai.ALLAH ki chahat baylos hai.
Behtareen khilqat honay ka kamal hi yeh hai k INSAN k pass amal aur fikr mein sari makhlooq say ziyada ikhtiar hai.ALLAH jabr ko pasand nahi kerta.REHMAN ki dawat bhi a'am hai aur Iblees ki dawat bhi ,agay tumhain faisla kerna hai .Shaytan tumhari merzi k baghair kisay dakhil hoskta hai
Wama taufiqi illa billah.