Thursday, May 5, 2011

WASEELA


Apnay maqsad (Objective) ko panay k liay usay samajhna sabsay pehla qadam hai.Jitna maqsad wazeh hoga usay panay ki koshish usi munasbat say merboot(relevant) aur samarbar (fruitful) hogi.Jo ALLAH ki zat tak pohonch ker ,Qura'n ki wazeh nafi k bawajud,Uska deedar kerna chahtay hain ,unhonay khahish ko deen samjha hai aur isi liay wajibat/ faraez  ko Ustak pohonchnay ka WASEELA (means of access) samajhtay hain.
Jabkay Qura'n Eeman lanay walon ko hukum  deraha hai k Taqwa ikhtiar kernay k ba'd WASEELA talash karo .Qura'n ki nigah mein "muttaqi"woh hai jo GHAIB (unseen)per eeman rakhta hai
SALAT qaim karta hai,
Uskay diay huay RIZQ say INFAQ karta hai,
jo kuch RAsool ALLAH per ya unsay qabl nazil hua usper Eeman rakhta hai,
A'KHRAT per YAQEEN rakhta hai,
Khulasa yeh hua k  Eeman aur Taqwa k saray taqazay puray karnay k b'ad WASEELA talash kernay ka hukm dia gaya hai.
Yeh bhi wazeh hogaya k Eeman aur taqwa k tehet puray khuloos say kiay gaey a'ma'l Uski bargah mein bagher waseelay k nahi pohonch saktay,qubuliat ki manzil tau issay a'gay hai.
Hidayat ki zimmaydari Usnay khud li hai,batni hadi( AQL) ata kerdi hai,fajoor aur taqwa ka ilham ker dia hai, sabeel  dikhaker "ikhtiar" ata ker dia hai , qunkay"jabr " Us REHMAN aur RAHEEM ko pasand nahi,AB taqaza kerta hai k "Waseela" dhoondo takay FALAH pao.
ISLAM k safar ki ibteda marfat e TAUHEED say hoti hai. JISKAY waseelay say TAUHEED hamtak ponchi WOHI "AHAD"tak pohonchnay ka WASEELA hai.
Yad rakhkho ALLAH ko apni tauheed sabsay ziyada azeez hai ,itni azeez k jisko apni marfat k liay khalq kia USKAY NOOR ko bhi TAQSEEM kerdia. JISKA koi KUFV nahi tha USKAY liay apnay WALI ko KUFV qarar dia takay AHAD sirf wahi rahay.
YA ALLAH MEIN TUJHSAY SAWAL KERTA HUN AUR TERI TARAF MUTAWAJJAH HOTA HUN TERAY NABI- E - RAHMAT MOHAMMAD SALLALLAHO ALEHAY WA A'LEHI WASALLAM K WASTAY SAY. AY ABAL QASIM, AY RASOOL ALLAH,AY IMAM E RAHMAT,AY MERAY SARDAR, AY MERAY MAULA ,HAM A'PKI TARAF  MUTAWAJAH HUAY SHAFAT CHAHI,  TAWASSUL KIA ALLAH KI TARAF AUR APNI HAJA'T KO A'P K SAMNAY PESH KARDIA,AY ALLAH KI BARGAH MEIN IZZAT WALAY HAMARI SHAFAET FARMAEY ALLAH K PAS.
PS:Feel free to ask for refrences.Any questions are cordially invited.

5 comments:

  1. Salam,jazakAllah,bohat umda peraye me ap ne tawassul,waseela,toheed ki wazahat farmai he,mashAllah

    ReplyDelete
  2. "JISKAY waseelay say TAUHEED hamtak ponchi WOHI AHAD tak pohonchnay ka WASEELA hai." - SubhanAllah, warna Allah by default hamein apni pehchaan kara deta, magar us ne hamein bhi nabion aur imamon ke waseelay se apni pehchan karayee.

    ReplyDelete
  3. JazakAllah.Pls tell us Quran main kahan kahan waseelay k baray main aaya hai.(Jo ALLAH ki zat tak pohonch ker ,Qura'n ki wazeh nafi k bawajud,Uska deedar kerna chahtay hain ,unhonay khahish ko deen samjha hai aur isi liay wajibat/ faraez ko Ustak pohonchnay ka WASEELA (means of access) samajhtay hain.)pls explain i did't get it, k quran ki nafi k bawajood kaun allah tak pohanch sakta hai.Ye dua aap ki apni hai ya u have quoted from somewhere.

    ReplyDelete
  4. "Waseela" yeh lafz Qura'n mein sirf 2 dafa aya hai.
    AL MA-IDAH a'yet 35
    BANI ISRA-IL a'yet 57
    Qura'n nay wazeh aylan kia hai k "a'nkhein usay dekh nahi saktein",AL AN-A'M ayet 104,lekin musalman kutch ahadees ki bunyad per ALLAH k deedar k qail hain.Hadees agar Qura'n ki mukhalif ho tau usay qubul nahi kia jasakta.
    Dua k alfaz dua-e TAWASSUL ka ibtedai verse hai.

    ReplyDelete
  5. masha allah! waseela aik gambheer mozoo...aik uljha uljha hua soot...laikin ap ki suljhi hui asan guftugu nay us ko bhi asan ker diya ...masha allah!..baqol sha'ir!
    ghalib nadeem e dost se aati hay boo e dost...
    ap nay humain bhi mo'attar fermaya...jazak allah

    ReplyDelete