Jis nay khalq kia hai wohi janta hai k makhlooq ki ehtiaj kia hai.Sab mohtaj hain ,sirf WOH munazza anil ehtiaj hai,GHANI hai ,SAMAD hai.Her wajood "mumkin"hai,Uska wajood "wajib"hai.Kul makhlooq apnay wajood k honay mein aur usay barqrar rakhnay mein Uski mohtaj hai.ALEEM o KHABEER hi janta hai k jis maqsad k liay khalq kia hai uski zaruriaat kia hain,isliay kaenat mein basnay wali her makhlooq ka RIZQ Usnay apnay zimmay laylia hai.Denay ki zimmaydari Uski hai,bantnay ki zimmaydari Woh jisay chahay dayday.
Her makhlooq ka rizq aik jaisa nahi hai.Sab ko apni zaroorat k mutabiq rizq diya jata hai.Aik mohtaj jo khud apni ehtiaj ko nahi janta woh doosray ki ehtiaj ko kaisay samajh sakta hai,kia farishta ashraf ul makhlooqat Insan ki hajatrawai karsakta hai ?Isiliay tau RAZZAQ sirf ALLAH hai.
Insan "jism" aur "rooh" ka majmua hai.Jism ki namu(growth) k liay bhi rizq chahiay aur rooh k liay bhi.
Sirf "maal"ko rizq samajhna kamfehmi hai. Agar yehi matlab hai tau phir Shaheed apnay RAB say kia rizq pata hai? Ham maysay aksar zinda hotay huay bhi nigah e Quran mein murda hain ,jabkay shaheed ki hayat ka gawah ALLAH hai aur daleel "rizq" hai.
ILM sabsay ziada nafa bakhsh rizq hai.ALLAH k Rasool ki duaa aaj bhi yehi hai"rabbay zidni ilma"O'Lord grow me in ilm.
ALLAH jab hukm deta hai k " hum nay tumhain jo kuch bhi rizq diya hai usay kharch(infaq) karo" tau Woh sirf maal kharch(INFAQ) karnay k a hukm nahi dayraha hai,Woh AINAY ILM saheb e ilm ko hukm day raha hai k ILM bhi banto.
Ilm ka hasil karna isiliay "farz" hai.Agar jholi khali hogi tau kia banto gay.Yeh tau samajh tay hi ho k denay wala hath lenay walay hath say behter hota hai .Denay wala hath ALLAH ka hath hai.
Her makhlooq ka rizq aik jaisa nahi hai.Sab ko apni zaroorat k mutabiq rizq diya jata hai.Aik mohtaj jo khud apni ehtiaj ko nahi janta woh doosray ki ehtiaj ko kaisay samajh sakta hai,kia farishta ashraf ul makhlooqat Insan ki hajatrawai karsakta hai ?Isiliay tau RAZZAQ sirf ALLAH hai.
Insan "jism" aur "rooh" ka majmua hai.Jism ki namu(growth) k liay bhi rizq chahiay aur rooh k liay bhi.
Sirf "maal"ko rizq samajhna kamfehmi hai. Agar yehi matlab hai tau phir Shaheed apnay RAB say kia rizq pata hai? Ham maysay aksar zinda hotay huay bhi nigah e Quran mein murda hain ,jabkay shaheed ki hayat ka gawah ALLAH hai aur daleel "rizq" hai.
ILM sabsay ziada nafa bakhsh rizq hai.ALLAH k Rasool ki duaa aaj bhi yehi hai"rabbay zidni ilma"O'Lord grow me in ilm.
ALLAH jab hukm deta hai k " hum nay tumhain jo kuch bhi rizq diya hai usay kharch(infaq) karo" tau Woh sirf maal kharch(INFAQ) karnay k a hukm nahi dayraha hai,Woh AINAY ILM saheb e ilm ko hukm day raha hai k ILM bhi banto.
Ilm ka hasil karna isiliay "farz" hai.Agar jholi khali hogi tau kia banto gay.Yeh tau samajh tay hi ho k denay wala hath lenay walay hath say behter hota hai .Denay wala hath ALLAH ka hath hai.
Salam Jazak Allah,SubhanAllah,Behtareen farmaya ,ap k alfaz soch ko apni giraft me leletey hen,itni khubi se ap ne wazahat ki he,Masha Allah
ReplyDeleteSalam,Aik sawal he hum apne ap ko shia kiun kehtey he sacha musalman,true muslim kiun nahi kehtey?
ReplyDeleteWa alekumuslam wa rehmatullah,
ReplyDeleteShia qurani istelah hai,aur Allah k Rasool aur Ahlebait A.S. nay humein is nam say hi yad kia hai.
Salam,word shia Quran me kis ayyat me he aur is ka matlab aur mafhoom ki bhi wazahat chahti hon.Thanks
ReplyDeleteWa alekukumusslam wa barakatuh,
ReplyDeleteLafz "shia" Quran mein 4 dafa aya hai:
sura MARYEM ayet 69 meaning...groh
" QASAS " 15 " ...dost .........(twice)
" SAF-FAAT " 83 " ...peru(follower) .
masha allah hazrat subhan allah!
ReplyDeleteregarding your question saliha! i answered briefly, however, i could not post as it did not let me do it. may be something wrong...i will answer you on phone insha allah. for a glimpse, main nay sirf ye likha tha k lafz shia ka "mozoo la" kabhi bhi wo nahin raha ho aj hay. ye lafz riwayat main aur ayat main "lughwi" manon main istemal hua hay laikin kabhi "istelahi" mano main istemal nahin hua. aur is main phir "ta'yyun" aur "ta'yeen" ki behes bhi hay k jin riwayat main ye lafz aya hay un main "tayeen" hay ya "ta'yyun" sirf itna aur k jin chund riwayat main is ko "istelahi" mano main istemal kiya gaya hay us main is lafz k liye napasandeedgi ka izhar, ashaab e aa'imma ki janib se hota hay, jis per imamo ki tasalli mojood hay laikin "milaq e riwayat" saf kehta hay k is main appreciation mojood nahin. baharhal apnay ap ko musalman kehna shia kehnay se behter aur khoob ter hay ..jazakillah
ReplyDeletebaqi batain phir kabhi.
IN KAY KIRDAR SAY QURAN MADAD LETA HAI
ReplyDeleteAPNAY MA'NA KAY TA'YYUN MEIN SANAD LETA HAI
Salam,Hashim ap ka history me kafi ghera mutaila he aur akser ap se madad leti rahi hon aur Ali H.Bilgrami sahib Quran aur us ki tafseer me Kamal rakhte hen ap dono ne mere topic ko agey barhaya us k lye shuker guzar hon.Aur umeed rakhti hon k ap is per mazeed irshad farmain ge.thanks
ReplyDeleteis per mazeed ye hay k punjabi ka aik shair hay "kuj unj wi rahwan okhiyan san kuj gul wich gham da tauq wi si..kuj sheher de lok wi zalim san kuj sanoo maran da shauq wi si" yani kuch wese bhi rahain mushkil thein kuch hamari gerdan main ghamon ka tauq bhi tha, kuch sheher k log bhi zalim they aur kuch humain mernay ka shauq bhi tha" bus yehi kuch hua shia hazrat k sath...ahl e sunnat jo derasal shian e usman aur bad main shian e muawiya main tabdeel hotay huye abbasi daur k aghaz main ahl e sunnat main dhal gaye unhon nay shia hazrat ko isi nam se pukarna shuru kiya aur is per israr kertay rahay, is terhan main stream islam se un ko alag ker k paish kiya...kuch shia hazrat bhi khamosh ho gaye aur isi lafz ko bataur e groh dailmi khandan ki hukoomaton k baad apna liya ..aur logon ki nazar main islam k parallel aik groh ki shakal main ubhray...kash humaray qudama ko is bat ka ehsas hota to aj hum fiqh e jafariya ki bajaye fiqh e muhammadiya hotay,,.inna lillah e wa inna ilayh e rajeoon
ReplyDeleteHaq ki peravi karnay walon per salam,
ReplyDeleteBakhaber rehna ham sab ki zimmaydari bhi hai aur momin honay ka taqaza bhi .Allah justuju karnay walon ko salamat rakhkhay aur taufiqat mein izafafa farmaay.Aameen.
JazakALLAH Hashim Sb. Ma'ana k ta'yyun ki nisbat say do misray aur arz karta hun
HARFAY BAYJAN HAI QURA'N JO HO INSAY JUDA
YEH AMAL KARTAY HAIN TAU LAFZ KO MILTI HAI HAYAT
Please explain the difference between "Eemaan" and "Aqeeda". Can these two words be used interchangeably?
ReplyDeletepls correct me. some are gathered and some are my own.
ReplyDeletemomin: saheb e eemaan (jo zahir karay haqeeqat ya aqaid ko apnay qaul aur fail say.
eemaan aur yaqeen r synonms: kufr ki zid honay k lihaaz say iss ki meaning "zaahir" ki hogi.i didn't find it so i wrote it by my self.
kufr: chupana.
kaafir: jo haqeeqat (aqaid: tauheed, adal,
risaalat, imamat, aakhirat) ko chupaye qaul aur fail say.surah baqra aayat 159-163.
mussalmaan:? i didn't find it.
munaafiq: jis k qaul aur fail main tazaad ho.
muttaqi: parhaizgaar
following are my own understandings, pls correct me.and i m very much surprised that ovais has asked the same question.
eemaan ,wo kaifiat hai jo ghaib ko zahiri taur
pe apni batini aankhon say dekh kar yaqeen kia jaye.jabhi Allah nay farmaya: aye eemaan walon
eemaan lay ao.Allah aaqil ko pasand karta hai,phir maula ka ye kehna hamain kia bata raha hai: "jo aankhon nay dekha ussay dil nay jhutlaya nahin". dil ki jagah aqal kiyon nahin kaha.kia woh baat logic aur aqal say aajiz thi.
(islaam aqli takhayulaat ka naam nahin hai,illahi
irshadaat par eemaan laanay ka naam hai).quoted from tafseer e quran.
Q: kaafir ka matlab "haqeeqat ko chupana".kufr ki nishaniyaan wazaih karain .kia musalmaan zirf kalma parhnay ka naam hai,sab say bari haqeeqat qyaamat hai, jis ko hum apnay aamaal
say kabhi bhool k aur kabhi jaanbooj k bhula daitay hain ,agar kufr ki nishaniyaan ik musalmaan k andar paee jain tou usay kia kehna chahiyay.musalmaan aur momin main farq?
Dear Maria AOA,
ReplyDeleteTumhara shoq e Ilm qablay ta'reef hai magar sabr aur tahammul boht zaruri hai.
lay sans bhi ahista k nazuk hai bohot kam
sawal poochna aql ki bedari ki alamat aur kmyabi ki naveed hai,magar statement dena aik zimmay dari hai.Eemaan aur Yaqeen ko synonym kehna sahi nahi hai,wazahat k liay kuch intezar karo qunkay yeh nacheez talib e ilm chronology mein jawabat denay ki koshish kar raha hai.
Maula ki nisbat say jo qaul tumnay naqal kia hai woh meri nazar say nahi guzra ,han meraj k silslay ki aik ayet ka matlab hai "Aankhon nay jo dekha usay fawad nay jhutlaya nahi",lafz fawad ki wazahat bhi munasib mauqay per pesh karunga,inshallah,filhal iltemas e dua.