Tawakkul
Yeh lafz hamari sama'aton say aksar takrata hai,"takrata" meinay mahavaratan nahi kaha bulkay haqeeqatan kaha.Agar awaz kan mein dakhil ho lekin sunnay wala aur sunanay wala,dono mani or mafhoom say ghafil hon,tau yeh lafz ka sama'at say takrana hi hai.
Kitnay chehray hain jo ma'yusi ki tasveer hain,kitni zabanein hain jo peham gilay shikway kerrahi hain magar eylan yeh hai k "tawakkul" hi hamara shayva hai.Mutazad (contradiction) k ittehad (unification) ki ye ajeeb surat hai.
Qadam uthanay say pehlay, ALLAH ki ata ki hui aql k zareay ,apnay maqsad(objective) ko khoob achchi tarah apnay ooper wazeh karo,
maqsad k tanazur(context) mein apni salahiaton ka tanqidi (critical) jaeza lo ,jahan kami nazar a'ay improve karo,ye asbab ki dunya hai,yahan nateeja cause & effect ki bunyad per nikalta hai.Allah her shay per qadir hai magar insan ka ilm bhi qaleel hai aur salahiat bhi mehdood.
Jitna bhi ilm aur salahiat hai usay bherpur tareeqay say istemal kertay huay ,puray ikhlas k sath ALLAH say tawassul karo aur iqdam ker dalo.
ALLAH per bharosa karo,yaqeen rakhkho WOH apnay munkir ki mehnat aur koshish ko bhi zaya nahi kerta.
Ab woh merhala hai jo haqeeqatan mushkil hai ,nateejay ka intezar apni bharpur koshish k silay k taur per na karo bulkay USKI RAZA AUR MASHEEAT ko qubool kernay k liay apnay aap ko , ye yaqeen rakhtay huay, amada rakhkho k hamara WAkEEL(mafad ki hifazat kernay wala) REHMAN AUR RAHEEM ALLAH hai.
Agar yaqeen kamil ho tau zaban per shikwa nahi hoga,chehra udas nahi hoga.
WA MA TAUFIQI ILLA BILLAH --ALALLAHAY ATAWAKKAL.
Salam,MashAllah,JazakAllah tawakkal ki is se achi tareef meri nazron se ab tak nahi guzri ap ki hidayat bhi ser ankhon pe.Ap ki tehreer ne rooh tak taro taza kerdi,aik nya jazba paida kia he.Allah ap ko lambi umer ata farmay aur hum ap ki hidayat se isi terhan faiz patey rahen.Amin
ReplyDeleteSalam,ap se guzarish he k ap Taqwah ka matlab mafhoom aur us per kis terha amal peara hua jasakta he khas tor per is puraashob zamane me apne ap ko kis terha se bachaya jasakta he aur sabit qadam raha jasakta he,mujhe to ye dunya hi pul e sirat nazer ati he is se bach ker chalne ki koshish karen to bhi gunah alood hone se bachna dushwar nazer ata he,Ap ki hidayat ki muntazir.....
ReplyDeleteBina marfat Allah par Tawakkul karna bohot mushkil kaam hai. Iss ka thora sa ahsaas mujhay tab hwa jab main nay apnay aap ko gunahon main aalooda tasawwur kia aur Allah nay mujhay aawaz di k kaho "BISMILLAH ARRAHMAN ARRAHEEM".
ReplyDeleteInshallah ab apni salahiyaton ko bharpoor istimaal karoongi.
masha allah, how provocative and professorial way of explaining concepts. no one would stand by, relinquishment is the choice instead. subhan allah..may god bless you ameen
ReplyDelete