Wednesday, May 25, 2011

ISLAM EEMAN AQEEDA


ISLAM         EEMAN      AQEEDA
ALLAH  jis  nay  humein  apni  sifat  ‘HAIEE’  say  hayat  ata ki  aur moqa  diya  k  hum bhi Uski  tarah  baqi reh  sakein , hamaray liay zindagi guzarnay ka aik tareeqa (DEEN )pasand kia aur uska nam  ISLAM  rakhkha  aur hamara nam ‘muslimeen’ rakhkha.
Humari  roohon say apni rububiat ka iqrar liya aur dunya mein  fitrat-e Islam per dakhil kia. Is wa’aday  k sath k  hidayat’ dena meri zimmaydari hai .MEIN ‘kitabain ‘ bhi bhaijunga aur ‘anmbia’ bhi bhaijjunga, jinki sachchaie ko pehchan nay k liay tumhein aql ata ki hai,aur phir qayamat mein mulaqat hogi takay  jaza aur saza ka amal ho. In baton k  zabani iqrar ka nam Islam hai.Jis nay haqeeqat ko tasleem kar liya woh muslim aur jisnay chupa liya woh kafir  hai. Dil say inkar aur zaban say iqrar kernay wala munafiq hai aur sabsay ziada ALLAH ki rehmat say door hai.
Jab bat zabani iqrar say barhkar dil mein dakhil hojati hai tau WOH jo dilon k hal say waqif hai is kaifiat ko  EEMAN  kehta hai .Dil say bat qubool kernay k liay koshish kerni parti hai,or yeh koshish ALLAH ko  itni mehboob hai k  jab bhi humsay mukhatib hota hai tau ‘ay muslimeen’ nahi kehta bulkay kehta hai”ay woh logon jo EEMAN la ay ho “.
Dil ka kisi bat ko qubool kerna  asan nahi hai,aql her marhalay per sawal karti hai aur jbtak tasallibakhsh jawab na milay dil qubool nahi kerta.Aql k madarej hain,her aql aik derjay per nahi hai( isliay aql ko bhi hadi ki zarurat hai) ,dil aql ka jo jawab qubool kerlay woh AQEEDA banjata hai, isiliay aqeeday ki tehqeeq zaruri hai. ALLAH  ko  ahad mannay walon k aqaed ALLAH k baray mein isiliay mukhtalif hain qunkay  unhonnay apni aql k mutabiq ALLAH ko pehchan nay ki koshish  ki hai.Agar sab RASOOL ALLAH k bad MASOOM HADI per  EEMAN latay tau sab ka aqeeda aik hota. NABI  AUR  KITAB  ANAY KA SILSILA KHATAM HOGAYA.HIDAYAT KA SILSILA JARI HAI. QURA’N  aaj bhi sada day raha hai “ay who logon jo eeman la ay ho, eeman lao
EEMAN k darjay hain .Dil may yaqeen jitna barhta jata hai aqeeda utna pukhta hota jata hai aur eeman usi relation may barhta jata hai.Kamzor  aqeeday  walay yaqeen say mehroom hotay hain isiliay unka eeman barhta ghat ta rehta hai.
ALLAH ka aik banda esa bhi hai,jisnay kaha “agar hijabat hata diay jaein tab bhi meray yaqeen mein zar ra baraber izafa nahi hoga “ isiliay woh RSOOL ALLAH k alfaz mein KUL LE EEMAN kehlata hai.
 WAMA TAUFIQI ILLABILLAH

Tuesday, May 17, 2011

TAWAKKUL


Tawakkul
Yeh lafz hamari sama'aton say aksar takrata hai,"takrata" meinay mahavaratan nahi kaha bulkay haqeeqatan kaha.Agar awaz kan mein dakhil ho lekin sunnay wala aur sunanay wala,dono mani or mafhoom say ghafil hon,tau yeh lafz ka sama'at say takrana hi hai.
Kitnay chehray hain jo ma'yusi ki tasveer hain,kitni zabanein hain jo peham gilay shikway kerrahi hain magar eylan yeh hai k "tawakkul" hi hamara shayva hai.Mutazad (contradiction) k ittehad (unification) ki ye ajeeb surat hai.
Qadam uthanay say pehlay, ALLAH ki ata ki hui aql k zareay ,apnay maqsad(objective) ko khoob achchi tarah apnay ooper wazeh karo,
maqsad k tanazur(context) mein apni salahiaton ka tanqidi (critical) jaeza lo ,jahan kami nazar a'ay improve karo,ye asbab ki dunya hai,yahan nateeja cause & effect ki bunyad per nikalta hai.Allah her shay per qadir hai magar insan ka ilm bhi qaleel hai aur salahiat bhi mehdood.
Jitna bhi ilm aur salahiat hai usay bherpur tareeqay say istemal kertay huay ,puray ikhlas k sath ALLAH say tawassul karo aur iqdam ker dalo.
ALLAH per bharosa karo,yaqeen rakhkho WOH apnay munkir ki mehnat aur koshish ko bhi zaya nahi kerta.
Ab woh merhala hai jo haqeeqatan mushkil hai ,nateejay ka intezar apni bharpur koshish k silay k taur per na karo  bulkay USKI RAZA AUR MASHEEAT ko qubool kernay k liay apnay aap ko , ye yaqeen rakhtay huay, amada rakhkho k hamara WAkEEL(mafad ki hifazat kernay wala) REHMAN AUR RAHEEM ALLAH hai.
Agar yaqeen kamil ho tau zaban per shikwa nahi hoga,chehra udas nahi hoga.

WA MA TAUFIQI ILLA BILLAH --ALALLAHAY ATAWAKKAL.

Monday, May 16, 2011

DIFFERENCE --ISLAM -EEMAN- AQEEDA

Dear Lovers of  Islam, thankyou for great response,enthusiasm and appreciation.THANKS FOR YOUR PATIENCE also.Will revert soon with my humble understanding on the above subject , Inshaallah.
Wa ma taufiqi illabillah.

Thursday, May 5, 2011

WASEELA


Apnay maqsad (Objective) ko panay k liay usay samajhna sabsay pehla qadam hai.Jitna maqsad wazeh hoga usay panay ki koshish usi munasbat say merboot(relevant) aur samarbar (fruitful) hogi.Jo ALLAH ki zat tak pohonch ker ,Qura'n ki wazeh nafi k bawajud,Uska deedar kerna chahtay hain ,unhonay khahish ko deen samjha hai aur isi liay wajibat/ faraez  ko Ustak pohonchnay ka WASEELA (means of access) samajhtay hain.
Jabkay Qura'n Eeman lanay walon ko hukum  deraha hai k Taqwa ikhtiar kernay k ba'd WASEELA talash karo .Qura'n ki nigah mein "muttaqi"woh hai jo GHAIB (unseen)per eeman rakhta hai
SALAT qaim karta hai,
Uskay diay huay RIZQ say INFAQ karta hai,
jo kuch RAsool ALLAH per ya unsay qabl nazil hua usper Eeman rakhta hai,
A'KHRAT per YAQEEN rakhta hai,
Khulasa yeh hua k  Eeman aur Taqwa k saray taqazay puray karnay k b'ad WASEELA talash kernay ka hukm dia gaya hai.
Yeh bhi wazeh hogaya k Eeman aur taqwa k tehet puray khuloos say kiay gaey a'ma'l Uski bargah mein bagher waseelay k nahi pohonch saktay,qubuliat ki manzil tau issay a'gay hai.
Hidayat ki zimmaydari Usnay khud li hai,batni hadi( AQL) ata kerdi hai,fajoor aur taqwa ka ilham ker dia hai, sabeel  dikhaker "ikhtiar" ata ker dia hai , qunkay"jabr " Us REHMAN aur RAHEEM ko pasand nahi,AB taqaza kerta hai k "Waseela" dhoondo takay FALAH pao.
ISLAM k safar ki ibteda marfat e TAUHEED say hoti hai. JISKAY waseelay say TAUHEED hamtak ponchi WOHI "AHAD"tak pohonchnay ka WASEELA hai.
Yad rakhkho ALLAH ko apni tauheed sabsay ziyada azeez hai ,itni azeez k jisko apni marfat k liay khalq kia USKAY NOOR ko bhi TAQSEEM kerdia. JISKA koi KUFV nahi tha USKAY liay apnay WALI ko KUFV qarar dia takay AHAD sirf wahi rahay.
YA ALLAH MEIN TUJHSAY SAWAL KERTA HUN AUR TERI TARAF MUTAWAJJAH HOTA HUN TERAY NABI- E - RAHMAT MOHAMMAD SALLALLAHO ALEHAY WA A'LEHI WASALLAM K WASTAY SAY. AY ABAL QASIM, AY RASOOL ALLAH,AY IMAM E RAHMAT,AY MERAY SARDAR, AY MERAY MAULA ,HAM A'PKI TARAF  MUTAWAJAH HUAY SHAFAT CHAHI,  TAWASSUL KIA ALLAH KI TARAF AUR APNI HAJA'T KO A'P K SAMNAY PESH KARDIA,AY ALLAH KI BARGAH MEIN IZZAT WALAY HAMARI SHAFAET FARMAEY ALLAH K PAS.
PS:Feel free to ask for refrences.Any questions are cordially invited.