Shafaet ka wada bay amali ko jurat aur sirf zabani iqrar ko sahara denay k liay nahi hai bulkay amal karnay walon ka walwala or hosla barhnay kay liay aik tuhfa e ALLAH o RASOOL hai. . Shafaet ,Ilahi nizam e Adal ko barham karnay ka nam nahi.Apnay aap ko Ilm o amal mein musalsal agay barhatay rehnay ki koshish na karna Jehl par israr hai. Jahil bay bunyad ummeed par waqt ko zaya karta hai,khwahish ko deen samajhta hai ,rsamein eejad karkay un amaal ko taqarrub ka zarea samajhta hai jinka zikr Quraan ,shreeat aur Ahle bait ki taleemat mein nahi milta.Masoom fermatay hain ,roz e Qayamat mein pechanloonga momin ko aza e wazu say,aaj ka momin kehta hai ,hamari pehchan senay ka daag hai ,peeth ka zakhm hai, juloos hai.
Dunya UMMEED per qaim hai lekin AAkhrat AMAL per.
Momin ko bhi ummeed hai,Ilahi waday ki bunyad per, k koshish karkay ITTEBA mein jo amal kia hai,usmein jo kami rehgai hai usay Rasool o Ahle bait ki SHAFAET pura kardegi. ALLAH hamaray amal ko qubool karlega quoonkay RASOOL ALLAH AUR AHLEBAIT hamaray amal ko apnay amal mein milakar ALLAH kay huzoor mein pesh karengay aur qubooliat yaqeeni hai.
Shafa Shafaet ka root word hai jiska matlab hai "zam ush shay ila misleh" yani" to join a thing to its like".
Amal say jholi ko bharlo agar jholi khali rehgai to Shafaet karnay walay kis cheez ko apnay amal say milakar ALLAH k huzoor pesh karengay.

Salam,Subhanallah, Jazakallah ap ne bohat wazeh alfaz me shifaet ka mafhoom roshan kia he Allah se bus yehi dua he k hamarey amal martey dum tak is qabil rahen k shifaet naseeb ho,aur Allah ap ko lambi ummer dey .Amin
ReplyDeleteSalam,tamam Ambia Allah ne dunya me is lye bhejey k Insan ko TOHEED per raghib karen aur kisi basher ya lakri pather mitti k baney hue butoon ko us ka shareek na banaen aur sirf Allah ki zat per tawakkul karen.to sawaal ye uthta he k hum jo indirect way me alam ,tazieye, taboot zuljina ko Imam se relate ker k dua mangtey hen to ye bhi shirk ki aik qisim hogae.phir aik taraf hum Imam ko waseela bana ker Allah se mangtey hen jab k khud humarey Imam ne is bat ki takraar farmai he k Allah se mango, Waseela aur Tawakul ka sahi mafhoom janna chahti hon,thanks
ReplyDeleteZain ki baat ko age barhate hue apni kum ilmi ke ehsas ke saath apni rai ka izhaar karne ki jisarat kar raha hoon. Wasela aur tawakkul do alag alag cheezein hein. Wasele ka to khud khuda qail hei warna ye umbiah alehis salaam ke silsale ki kya zaroorat thi, Khuda sare muamalat khud he deal kar leta. Jabke tawakkul oper wale ki zaat per mukammal bharose ka naam hei. Rahi baat shirk ki to jab upper wale ne khud apni marzi ahle bait ke hawale kar di to unse madad mangne ko shirk nahi kaha ja sakta. Ye alag baat ke ahle bait ALLAH ki marzi ke khilaf koi qadam nahi uthate hein. Agar mein apni baat wazeh kar ska.
ReplyDeleteJazakallah.Waseela aur Tawakkul per abhi mazeed bat hogi Inshaallah.
ReplyDeletemasha allah hazrat. i must say that you commented on this peculiar topic quite profoundly and you mentioned those indigestible things so plainly that anyone one can easily uphold this against any criticism...masha allah
ReplyDeletemay God bless you
moreover, i will be waiting for your comments on waseela and tawakkul ...may you live long ameen
ReplyDelete