Monday, March 28, 2011

GHOR KARO, SAMJHO AUR FAISLA KARO

Har ze Nafs aur  ze Aql azad hai k apnay baray mein Faisla karay k woh Aqa banna chahta hai ya Ghulam.
Khoob ghor karlo aur samajhlo k azadi ka mafhoom aur matlab kia hai aur ghulami k kia maani hain.Apnay gird logon par nazar dalo,sirf basarat say nahi baseerat say,tum par khul jaega k azadi ka  dawa karnay walon ka
kirdar unki ghulami ka munh bolta suboot hai, aur kitnay ghulami par fakhr karnay walay aisay hain k azadi ko unsay sharam aati hai.Yeh ijmal hai tafseel tumharay gird bikhri pari hai.Ghor karo aur apnay liay Faisla karo.

5 comments:

  1. azadi ka matlab koi rok tok nahin koi bhi iaada ya faisla ya aml apnay pooray ikhtiyaar say kia jaye.
    Ghulaami do tarhan ki hoti hai aik woh jo jabr say ki jaye yaani aap ko maloom ho k aap ka aaqa aap say amal main ,kirdaar main ,ilm main aap say kam hai.
    doosri ghulaami woh jo k poori marfat aur shaoor aur khushi say ki jaye yani aap ko maloom ho k aap ka aaqa aap say har lihaaz say buland hai.
    Har insaan apnay nafs ka aur har nafs apni khwahishon ka ghulaam hai. Agar to khwahishain sirf dunya haasil kanay ki hain yani by hook or by crook jaiz aur najaiz ka farq mita k ,to woh aaqa bannay ki koshish karta hai aur agar khwahishain aakhirat ko maday nazar rakh kar hon to us ko ghulaami achi lagti hai aur woh us k har amal say zaahir hoti hai.
    Ab ye ham par hai k hum apnay nafs ko ghulaam banain ya hum apnay nafs k ghulaam ban jain.

    ReplyDelete
  2. Q1:Pls clear the difference between ghulaami, itaat, farmabardari?.To me, hamain Allah ki ghulami, Ahlibait ki itaat, aur waldain ki farmabardari karni chahiyay. sirf alfaz ki had tak samajh saki hoon.
    mairay pehlay walay comment main ye bhi add karliyayga. jeenay ka ikhtiyaar tha marna kia pasand, kia jabr o ikhtiyaar pe qudrat hai ay HussainA.S.
    Q2: Wa mimma razaqnahum yunfiqoon. Aur jo kuch hum nay rizq dia hai iss main say hamari raah main kharch bhi kartay hain. mujhay RIZQ ki vast def. chahiyay?
    rizq ki tafseer main sirf maal ka zikr kia gaya hai, jabk ilm bhi kharch kia jaata hai, yani ilm bhi Allah ka dia hwa rizq hwa.
    Allah has also said , aur ham jisay chahtay hain rizq daitay hain.
    Q3: Infaaq ki detail?

    ReplyDelete
  3. JAzak ALLAH jo kuch bhi tum nay likha woh sabit karta hai k ab tum Quran ki dawat e ghor o fikr per amal karnay lagi ho,yeh khud ek saadat or neki hai,jo eeman aur yaqeen ko mustahkam karaygai.
    Ghulami aur Azadi ko kai dimensions aur levels per bayan kia jasakta hai.Azadi ka aam mafhoom tau yehi hay k 'koi rok tok na ho'magar zara buland hokay socho tau yeh baat sahi nahi hay.Azadi ka sarchasma[basic source]Allah hay magar usnay 'rok'liayahay zulm say aur 'paband' karlia hai khud ko 'adal' ka .
    'Ghulami'her nigah mein na pasandeeda hai magar sabsay bara inam daykar ALLAH bithadayga apnay ghulam[abd] ko apni jagah [maqam e mehmood] per.
    Agar tum say poocha jaey k kia chaheay ghulami ya azadi aur tum jawab do 'ghulami'tau sawal karna daleel hai k tum azad ho qunkay 'choice' azad k pas hoti hai ghulam k pas nahi.aur jawab dena daleel hai k tum azadi ko mehsoos bhi kar rahay ho aur istemal bhi.
    Jo azadi ka istemal karkay 'nafs'ka ghulm banjaey usnay apnay sath bohot bara zulm kia qunkay Zulm ALLAH ko pasnd nahi.
    Her nafs ki ALLAH say mulaqat hogi,us waqt kitni pashemani hogi k azadi ka kitna ghalat istemal kia .
    Abhi waqt hai tauba karlo aur puray khuloos say us kay ghulm banjao jiski daimi[ever lasting] meraj aur manzil 'maqam e mahmood' hai.

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  5. Ghulami,itaat aur farmanbardari teen mukhtalif zabanon [urdu,arabic,farsi] k alfaz hain jo urdu main bhi istemal hotayhain or jinka bunyadi mafhoom hukum manna hai.
    Hukum ka darja hukum denay walay k martabay ki nisbat say tay hoga.Jo sabsay supreme hai uska hukum sab par sabqat rakhta hai,phir woh jiskay hukum ko apna hukum kehday ya jiskay hukum ko mannay ka ishara bhi karday.
    Waldain ki farmanbardari kay hudood main itni wusat hai k 'uf' kehnay ki bhi ijazat nahin.Iska matlab yeh hai k nagwar baton ko bhi bardasht karna hai aur jab bhi mumkin ho ahsan tareeqay say waldain ki tawajja sahi bat ki taraf bhi dilani hai takay unhain apni ghalti ka kuch ehsas hojaey aur hamari zimmedari puri hojaey.Fasad say har halat mein bachna hai.Mutmain raho dono kay amaal record horahay hain aur dono ko apna apna hisab dena hai.

    ReplyDelete