Subhan ALLAH,ab aik or dimension say ghorkaro .Pehli Takbeer or salam e aakhir tak hum dunya mein hotayhuay bhi dunya ki taraf tawajjah nahi kartay sara dhyan ALLAH or USKI itaet/marzi ki taraf hota hay,kharay hotay hain jhuktay hain bethtay hain, woh sir jo har waqt baland rehta hai zameen per rakhdetay hain, bat(tilawat) kartay hain duaa mangtay hain, magar jo kuch bhi kartay hain sirf ALLAH say ya ALLAH kay liye kartay hain.Jab hamnay aankh kholi thi tau AAzan o Aqamat ki awaz hamaray kanon mein aai thi or jab aankh band hogi tau phir hamaray jism ko samnay rakhkar ALLAH O AKBAR ki sada baland hogi,AGAR AANKH KHULNAY OR BAND HONAY KAY DARMIYAN IS DUNYA MAY REHTAYHUAY HAMARA SUKOOT,HARKAT ,KHAMOSHI ,KALAM SIRF ALLAH KAY LIYE THA TAU HAMARI HAYAT SALAT HOGAI YANI HAMNAY NAMAZ QAIM KARDI ALHAMDOLILLAH . Yad rakhkho apni koshish ko sabit karna hamara kam hai.ALLAH itna KAREEM hai kay TAUBA kay bad guzashta ko bhula deta hai mita deta hai.REHMAN O RAHEEM hamaray amal ki ibteda ko inteha kay darjay per qubool karta hai .Hamara SHAFEE ALLAH ka Rasool or uskay Ahlabait hain.
Assalam o alaikum ap se hum pehley hi bohat mutasser the aur ap ki peshraft ne humey ap ka aur bhi garveeda bana dya ap ka ye iqdam insha Allah bohat moasser sabit hoga ap ki tehreer me josh aur walala payda kerne ki silahyet he,me ap se bohat kuch seekh chuki hon aur mazid seekhney aur samjhne ki khahish thi jo ap ki is kawish ki badolat insha Allah puri hoti nazer arahi he jis k lye me ap ki shuker guzar hon k ap ne naye rukh se humey taleem deney ka bera uthaya
ReplyDeleteAOA rajaat se murad ye lya jata he k jab Imam zahoor karen ge to momineen ka dobara is dunya me ana, aik to rajaat ka sahi mafhoom janna chati hon 2 kia wo sare momineen rajaat karen ge jo ye khuahish ley ker mar gae k wo Imam ki nusrat me un ki madad karen ge ya aik khas tabqa he?
ReplyDeleteHaq ki peravi karnay walon per salam,
ReplyDeleteRajaat ka aqeeda Ahle bait A.S, ki rivayat kay mutabiq hai.Imam Mehdi A.S.kay qayam kay baad ALLAH do grohon ko dubara zindagi daykar dunya mein bhejay ga ,
Eeman mein buland tareen log,
Ikhlaq mein pust tareen log,
takay qayamat say pehlay dunya mein bhi Adal kay taqazon ko pura kia jaae.Baqi baton ki sanad tehqeeq talab hai.
AOA yeh bat bohat sunney me ati he k hum shion ki shifaat mola karen ge aur apne greban me jhanktey bhi nahi k aya hum waqai shifat k qabil hen jahan tak meri haqeer se raaye he k shifaat un momineen k lye he jo apne gunahon se toba ker k un se bachney ki koshish kartey rehtey hen aur apna ahtesaab kertay rehte he,ap se shifaat ka sahi mafhoom janna chahti hon thanks for your consideration.
ReplyDeleteMeri naqis rai mein go ke insaan khata ka putla hei lakin jis ne apne taein amal bin maroof aur nahi ahlil munkar ki mukhlisana koshish ki ho gi sirf usko ahle bait ki shifaat hasil ho gi nake unko jo muhabbate ahle bait mein aanso to bahate they lakin uske saath dunya ko bhi utna hi aziz rakhte they aur usme khoey rehte they.
ReplyDeletemasha allah! even a peer review can not find any sloppiness in your writing ..masha allah hazrat ..God bless you
ReplyDelete