Wednesday, February 16, 2011

ILM per AMAL mushkil hai

Lafz  bayjan nahi hota ,serf  karnay walay k  zehen ka terjuman hota hai, jitna tawana zehen utna hi hayat say bherpur lafz. Pehlay lafz ko koi wajood bakhshta hai phir lafz uski hayat ka zamin banjata hai.Kitni shakhseatein khak hogaein magar ham aaj bhi  unkay alfaz ko duhrakar unki hayat ki gawahi detay hain or apni hayat ko taqatwer banatay hain. Jab fani wajood kay lafz mein yeh asar hai, tau HAYAT ko hayat bakhshnay walay         HAYEE  E  LAYAMOOT  ka aik aik lafz kitna purasar hoga.USKAY ALFAZ   K  MAJMOOAY KA NAM QURAAN hai.Yeh alfaz  ALLAH k terjuman hain,Allah ka zehen /MASHEEAT ko samajhna or phir us ILM per AMAL mushkil hai .Smjho aur samjhao.

5 comments:

  1. Agar yeh bata dia jaye ke Amal mushkil hai, tou phir har banda pehle hi door hojaye ga. Logon ko qareeb laane ke liye tou un ke faide ki baat batani chahiyeh na ke woh baat jo unhain mushkil mein daal de.

    ReplyDelete
  2. Lekin if u want to go for quality rather than quantity, tou phir pehle hi din mushkil ka bata dena makes perfect sense. To filter out people who just want to take 'lutf' and 'chaska' of so-called 'lateef' sentences and quotations while applying not even 1% of what they have heard or read.

    ReplyDelete
  3. I m very happy for u that u have open urself to the world .
    main ny aaj tak lafz ki itni behtareen definition nahin suni thi, waqaee alfaaz main bari taaqat aur asar hota hai. jabhi quraan main Allah nay hamain itminaan-e-kaamil dilaya hai k har mushkil k baad aasaani hai, har mushkil k baad aasaani hai.

    ReplyDelete
  4. After a long thoughtful process i have come to this conclusion that " aqeemos salaat " does not mean only to reciete it , it means to stick on your words that u have said and obey also by showing ur deeds.Aqeemos salaat ka matlab sirf namaaz ko zabaan say parhna nahin hai balkay jo jo shahadatain aur zikr ki hain namaaz main un ko namaaz khatam honay k baad apnay amal say zahir kar k qaim rakhna. this is veryyyyy difficult warna namaaz to sab parlaitay hain laikin iss ko qaim karna bohot bari baat hai. thanks for stopping me to think more on Aqeemos salaat. correct me .

    ReplyDelete
  5. Subhan ALLAH,ab aik or dimension say ghorkaro .Pehli Takbeer or salam e aakhir tak hum dunya mein hotayhuay bhi dunya ki taraf tawajjah nahi kartay sara dhyan ALLAH or USKI itaet/marzi ki taraf hota hay,kharay hotay hain jhuktay hain bethtay hain, woh sir jo har waqt baland rehta hai zameen per rakhdetay hain, bat(tilawat) kartay hain duaa mangtay hain, magar jo kuch bhi kartay hain sirf ALLAH say ya ALLAH kay liye kartay hain.Jab hamnay aankh kholi thi tau AAzan o Aqamat ki awaz hamaray kanon mein aai thi or jab aankh band hogi tau phir hamaray jism ko samnay rakhkar ALLAH O AKBAR ki sada baland hogi,AGAR AANKH KHULNAY OR BAND HONAY KAY DARMIYAN IS DUNYA MAY REHTAYHUAY HAMARA SUKOOT,HARKAT ,KHAMOSHI ,KALAM SIRF ALLAH KAY LIYE THA TAU HAMARI HAYAT SALAT HOGAI YANI HAMNAY NAMAZ QAIM KARDI ALHAMDOLILLAH .
    Yad rakhkho apni koshish ko sabit karna hamara kam hai.ALLAH itna KAREEM hai kay TAUBA kay bad guzashta ko bhula deta hai mita deta hai.REHMAN O RAHEEM hamaray amal ki ibteda ko inteha kay darjay per qubool karta hai .Hamara SHAFEE ALLAH ka Rasool or uskay Ahlabait hain.

    ReplyDelete