Tuesday, June 28, 2011

TAQWA


Mohabbat aur chahat ki bunyad per khalq honay wali makhlooq say khaliq ko kitni mohabbat hai yeh sirf khalq kernay wala janta hai .Makhlooq tau sirf utna hi jan sakti hai jitna khaliq usay bataday. Insan ko khalq kernay k ba’d Usnay naz kertay huay elan kia k Hamesha qaem aur daem rehnay walay ALLAH nay INSAN ko behtareen taqweem (best possible form) per khalq kiya hai.

 Jis ka ILM  lamehdood ho, Jo Ainayilm ho jab Woh ahsan (the best) kahay tau mehdood aql kahan tak perwaz keray kahan tak apni bulandi ka ehsas keray..Qeemat aur qader ka ta’ayyun (fixation) kesay ho? Anmol (price less ) yeh alfaz sidq e dil  say apni bay bazaeti (limitation)per nadim hain .
Qeemat k tanasub say shay ki hifazat ka khayal hota hai,magar yeh tau bayjan cheezon ka zikr hai. Aulad cheez nahi hai  yeh ALLAH ki nayabat mein ,waldein ki haseen takhleeq hai ,isiliay uski sirf hifazat nahi ki jati us say mohabbat hoti hai .Kia koi is mohabbat ki qeemat ka ta’ayyun kersakta hai? Kia dil kabhi aulad say ghafil hota hai .. Aulad na.’ferman ho tau dil phir bhi uski islah k liay tarapta rehta hai. Jab tumehain itni mohabbat hai tau soncho ALLAH ko tumsay kitni mohabbat hai .

Kia is mohabbat ki jan say barh ker qadr aur hifazat nahi kerni chahiay .Kia dil mein yeh khauf aur dar nahi hona chahiay k hamara koi amal ,US REHMAN AUR RAHEEM ki nazar-e lutf o inayet say humein mehroom na kerday , yeh mehroomi dozakh ki a’ag say ziyada takleef denay wala azab hai. Is mohazzab (character building) dar aur khauf ko dil mein basalenay ka nam TAQWA hai.

Kon hai jo ALLAH ki manzilat jannay k ba’d bhi USKA khauf na rakhkhay.

Kon hai jo janta hai k ALLAH kia hai, phir bhi usper USKI haibat tari nahi hoti.

Kul izzat k malik ALLAH ki nazar mein agar koi sahib e izzat hai tau sirf muttaqi ,qunkay who adl k qareeb hota hai.

Qura’n muttaqi ko hidayet deta hai.

ALLAH sirf muttaqi say amal ko qubool kerta hai aur ussay mohabbat kerta hai.

WAMA TAUFIQI ILLA BILLAH.

Thursday, June 9, 2011

TAWHEED

Ilm o marfat k husool mein hawas e khamsa(5 senses) mufeed or kara'mad honay k bawajood  Ain e Ilm ,ALLAH, ki marfat mein baybus o lachar isliay hain  k har hiss (sense) ki had (limit) hai aur ALLAH hadon  ka khaliq hai , khud unsay mawara(above) hai. Har koshish karnay wala puri tawanai (energy) serf karnay k ba'd apni a'jezi ka elan kertay huay kehta hai "Teray ALLAH honay ki daleel hi yay hai  k TU hawas ki ponhonch say bohot buland hai." Baseerat hi Tujh say qareeb kerti hai ,basarat her had per thokar khati hai.
TUJHAY aik nahi kaha jasakta ,k aik taqseem hojata hai,aur jo taqseem hoja'ay woh ALLAH NAHI HAI.
TU nay khud bataya hai k tu AHAD hai wahid nahi hai. YAKTA hai UNIQUE hai.
Hum nay teray liay sar bhi tasleem (surrender) kia hai aur Dil bhi,takay jab hum zaban say iqrar karein tau TU hamaray senon k ander jhank ker hamaray EEMA'N ka gawah ban ja'ay , aur phir TU jab hamsay ye kehkar mukhatib ho "ay woh logon jo eema'n la ay ho" tau ham is kalam ki shereni ko mehsoos kersakein aur teray is lutf  o ehsan  per ,apni her khwahish ko mita dein qurban ker dein , aur TERI khwahish ko qubool kerlein,takay hamari ebadat SHIRK say pak hoja'ay.
TU WAHDAHU LASHAREEK HAI.
  WA ma taufiqi ILLA BIL LAH

Wednesday, June 1, 2011

Feedback

Dear ALL,
Thanks for encouraging ,energizing words which are helping  me preparing for understanding TAWHEED and then  TAQWA.
Wasslam