Tuesday, May 8, 2012

FLAH aur FAUZ

Flah aur Fauz ki meaning mein ferq haiy .DonoN ka maqsood (objective) aik haiy isiliay meaning mein ishterak zaroor haiy magar yeh aik doosray kay jamaea (complete ) mutaradif (synonym) nahieN . Qura'n ka terjuma aur tafseer bayan kernay waloN ki zimmaydari haiy kay woh in donon alfaz kay mana kay  wazeh ferq ko paish e nazar rakh ker terjuma karein . Fauz mein Flah muzmir haiy magar Flah ,Fauz naheiN haiy. Sura NOOR ki a'yet  #51 ka akhri lafz haiy "almuflehoon" aur a'yet # 52 ka akhri lafz haiy "alfaezoon" ,mustanad samjhay janay walay terajim mein bhi donoN ka terjuma aik hi likhkha haiy, "kamyab log"(successful). 
Aaeay thora ghaur karein. Jab namaz kay liay bulaya jata haiy tau sada di jati haiy "Flah ki teraf aao" .Hazrat ALI a.s. nay ,waqt e wiladat Rasool ALLAH ki gaud mein jo aaya't  tilawat ki thieN unki ibteda thi "Qad aflahal mominoon...." aur zarbat lagnay kay baad waqt e aakhir fermaya "Fuzto be rabbil kaba "
Wazeh hogaya kay jo kamyabi (success) kay liay  eligible haiy woh shamil haiy "almuflehoon "mein aur jo kamyab hogaya us kay sar per "alfaezoon"ka taj haiy.