Wednesday, February 16, 2011

ILM per AMAL mushkil hai

Lafz  bayjan nahi hota ,serf  karnay walay k  zehen ka terjuman hota hai, jitna tawana zehen utna hi hayat say bherpur lafz. Pehlay lafz ko koi wajood bakhshta hai phir lafz uski hayat ka zamin banjata hai.Kitni shakhseatein khak hogaein magar ham aaj bhi  unkay alfaz ko duhrakar unki hayat ki gawahi detay hain or apni hayat ko taqatwer banatay hain. Jab fani wajood kay lafz mein yeh asar hai, tau HAYAT ko hayat bakhshnay walay         HAYEE  E  LAYAMOOT  ka aik aik lafz kitna purasar hoga.USKAY ALFAZ   K  MAJMOOAY KA NAM QURAAN hai.Yeh alfaz  ALLAH k terjuman hain,Allah ka zehen /MASHEEAT ko samajhna or phir us ILM per AMAL mushkil hai .Smjho aur samjhao.

Sunday, February 13, 2011

Aaghaz-e-safar

Ibarat par mat atko. Maani tak pohanchne ki koshish karo: LA ILAH ILLA ALLAH
Do not stick to words only. Try to find out the meaning.