Thursday, August 2, 2012

GHULAMI AUR AZADI

Ghulami aur Azadi ko kai dimensions aur levels per bayan kia jasakta hai.Azadi ka aam mafhoom tau yehi hay k 'koi rok tok na ho'magar zara buland hokay socho tau yeh baat sahi nahi hay.Azadi ka sarchasma[basic source]Allah hay magar usnay 'rok'liayahay zulm say aur 'paband' karlia hai khud ko 'adal' ka .
'Ghulami'her nigah mein na pasandeeda hai magar sabsay bara inam daykar ALLAH bithadayga apnay ghulam[abd] ko apni jagah [maqam e mehmood] per.
Agar tum say poocha jaey k kia chaheay ghulami ya azadi aur tum jawab do 'ghulami'tau sawal karna daleel hai k tum azad ho qunkay 'choice' azad k pas hoti hai ghulam k pas nahi.aur jawab dena daleel hai k tum azadi ko mehsoos bhi kar rahay ho aur istemal bhi.
Jo azadi ka istemal karkay 'nafs'ka ghulm banjaey usnay apnay sath bohot bara zulm kia qunkay Zulm ALLAH ko pasnd nahi.
Her nafs ki ALLAH say mulaqat hogi,us waqt kitni pashemani hogi k azadi ka kitna ghalat istemal kia .
Abhi waqt hai tauba karlo aur puray khuloos say us kay ghulm banjao jiski daimi[ever lasting] meraj aur manzil 'maqam e mahmood' hai.